Tuesday 29 November 2011

Urdu Latifay

Aik larki ke ser per teen baal the wo beauty parlor main jati he wahan ja ker kehti he ke meri chutiya bana do,jab wo chutiya banane lagti he to larki ka aik baal toot jata he, larki kehti he ke chalo mera jora bana do,jab wo jora banane lagti he to larki ka aik baal or toot jata he,larki kehti he ke chalo meray baal khule he rehne do.






Child      ;aaj master sahab ne mujhe saza di thi.
Father    ;kyun.
Child      ;main school late gaya tha.
Father    ;main tum ko school perhne ke liye bhaijta hoon latne ke liye nahain.


Monday 21 November 2011

Aaloo Gosht














Beef with potato pakane ka tarika manderja zail he.


Ingredients


Gosht                1kg
Aalo                  1kg
Piyaz                  1/4kg
Dahi                   1/4kg
Cooking oil         1/4kg
Hara dhaniya       Thora sa
Laal mirch powder   2chamach
Dhaniya power     2chamach
Namak                 1chamach
Haldi                     1/4chamach
Lehsan pisa hoa       2chamach
Adrak katti hoe         2chamach


Tarika


Gosht dho lain, piyaz bareek kaat lain ,hara dhaniya tor ker rakh lain adrak kaat lain ,lehsan pees lain, aaloo cheel ker kaat lain.Cooking oil main piyaz laal ker ke nikaal ker pees lain .Ab oil main lehsan , adrak, namak ,mirch ,pisa dhaniya, haldi aur 1/4glass pani daal ker bhon lain phir gosht daal ker bhon lain aur 4glass pani daal ker gosht galne ke liye halki aanch per rakh dain.Jab gosht gal jae to is main aaloo daal dain jab aaloo gal jaen to is main dahi phant ker aur pisi hoe piyaz daal dain aur teen glass pani daal dain jab salan pakne lage to halki aanch per 5minutes ke liye dam per rakh dain phir hara dhaniya daal dain aur chola band ker dain.Aaloo gosht tayyar he.


Thursday 17 November 2011

Totkay For Hands In Urdu













Hathon ka mail door karna
Hathon ka mail khatam kerne ke liye hands per kalay ke chilke ragrain haath saaf ho jaen ge.

Ungliyon ko lamba karna
Is ke liye rozana is terhan exercise karain aik haath ki ungliyon ko dosray haath ki ungliyon main phansa ker khainchain ye amal baar baar karian.


Hathon ki jhurriyan door karna
Rozana raat ko sone se pehle kisi aala qisam ke lotion ya cold cream haath per malain aur haathon per jazab karain phir tissue paper se haath saaf ker ke so jaen.


Monday 14 November 2011

Raita


 















Raita un dishes main se he jo dosry dishes ke saath khae jati hain.Raeta biryani ,chawal, daal aur sabzi ke saath khaya jata he.Is ko banana bohat aasaan he.Raeta banane ka tarika manderja zail he.


Ingredients


Dahi                              1kg
Kheera                          1adad
Piyaz                             1dali
Hari mirch                     4adad
Aalo (boild)                   1adad
Surkh mirch                   1/2 chamach
Namak                           1/4chamach
Kali mirch (pisi hoe)      1/4chamach
Zeera       (pisa hoa)       1/4chamach


Tarika


Dahi phant lain.Kheera, piyaz hari mirch, aur aalo bareek kaat lain.Tamam cheezain dahi main daal ker mix ker lain. Raeta tayyar he.


Saturday 12 November 2011

Jhaeyaan Door karna














Jhaiyaan khatam kerne ka tarika manderja zail he.
Das tola apple le ker bareek pees lain aur is main do tola haldi mix ker lain aur chand qatray lemon ka ras aur arqe gulab mila ker paste bana lain .Rozana raat ko ye paste chehray per lagaen aur bees minutes baad dho lain chand dinon main jhaiyaan door ho jaen gi.
Rozana dood piya karain.
Shehad ka istamal karian.
Fruit aur juices ka istamal karian.
Fresh vegetables istamal karain.
Zehni dabao se bachain.
Walk kiya karian.


Friday 11 November 2011

Lehsan Ki Chatni
















Garlic sauce biryani aur khichri ke saath bohat achi lagti he aur isko bana bhi bohat asaan he.Aaj aap ko lehsan ki chatni banane ka tarika batatay hain.


Ingredients

Sabut mirch                20adad
Lehsan                       1dali
Namak                       1/2chamach

Tarika

Lehsan cheel lain.Ab lehsan ,sabut mirch aur namak ko sil per pees lain.Ya grinder main grind ker lain.lijiye lehsan ki chatni tayyar he.


Thursday 10 November 2011

Totkay For Dark Circles In Urdu













Aankhon ke siyah halke khatam karne ke liye manderja zail hidaayaat per amal karain.


1..Rozana sotay waqat aankhon ke halkon per almond oil lagaen.
2..Ankhon ke halkon per kheeray ka ras lagaen.
3..Siyah halke zehni dabao se bhi hote hain is liye zehni tension se door rahain.
4..Raat ki pori neend lain.
5..Fruit aur juices ka istamal karian.
6..Fresh vegetables ka istamal karain.
7..Dood ka istamal karian.


Wednesday 9 November 2011

Soji Ka Halwa

















Soji ka halwa pakane ka tarika manderja zail he.

Ingredients

Soji                   1kg
Sugar                 Teen pao
Cooking oil        1/4kg
Mewajaat           Thoray se


 Tarika

Oil garam ker ke is main soji daal dain aur halki aanch per bhonain.Jab soji halki brown ho jae to is main 4glass pani aur cheeni daal dain.Thori dair pakne dain.Phir is main mewajaat mix ker dain.Lijiye Halwa Tayyar he.Dish main nikaal ker paish karain.


Tuesday 8 November 2011

Totkay For Weight Loss In Urdu














Wazan kam karna
Motapa door karne ke manderja zail tarikay hain.
1..Rozana nahar moon warzish karain.
2..Rozana nahar moon chand danay injeer ke khaya karain.
3..Rozana shaam ko walk kiya karain.
4..Rozana rassa tapa karain.
5..Nahar moon pani main lemon ka ras mila ker piya karain.
6..Nahar moon neem garam pani main shehad mila ker piya karain.
7..Dopeher ko khane ke baad aik chamach kalonji khaya karain.
8..Butter,chiknae aur mithi cheezon se perhaiz karan.
9..Bhosi wala aata istamal karian.
10.Qabaz na hone dain.
11.Gosht kam istamal karain.
12.Taza sabziaan istamal karain.
13. Fresh juices istamal karain.
14.Sara din apne chotay chotay kaam khud karain.


Monday 7 November 2011

Shami Kabab



















 Beef shami kabab banane ka tarika manderja zail he.


Ingredients


Gae ka gosht                                         1kg
Chane ki daal                                        1/2kg
Sabut garam masala                              1chamach
Lehsan                                                   Aik adad
Piyaz                                                      1/4kg
Namak                                                   Dairh chamach
Sabut mirch                                            20adad
Hari mirch                                              10adad
Hara dhaniya                                          Thora sa
Adrak                                                      Kati hoe 2chmach
Anday (egg)                                            4adad
Cooking oil                                              1/4kg
Lehsan ki chatni                                      Hasbe zarorat
Raeta                                                       Hasbe zarorat


Tarika


Gosht main sabut mirch ,namak ,lehsan, piyaz aur sabut garam masala aur 4glass pani daal ker halki aanch per pakne ke liye rakh dain.Jab gosht gal jae to is main chane ki daal daal dain.Jab chane ki daal gal jae to pani khushak ker lain.Ab is ko sil per pees lain.Ab is main hari mirch ,hara dhaniya aur adrak bareek kaat ker mila dain.Ab is ke kabab bana ker phante hoe andey main dip ker ke tal lain.Kabab tayyar hain lehsan ki chatni aur raetay ke saath nosh fermaen.


Sunday 6 November 2011

Jhurriyan Door Karna


















Jhurriyon ko khatam kerne ke liye khobani ka goda do chamach, khobani ki giri aik chamach ,aik chamach badam ki giri in sab ko mix ker lain aur paste bana lain.Pehle aankhon ke aas paas badam ka oil lagaen Oper se ye paste laga lain aik ghante baad dho lain .

Jhurriyan door kerne ke liye manderja zail iqdaamaat bhi karain.
1..Tension se door rahen.
2..Rozana morning walk karain.
3..Rozana shaam ko halki phulki chehal qadmi karain.
4..Rozana do glass dood istamal karain.
5..Vegetables ziada istamal karain.
6..Fruit aur juices ka istamal karain.
7..Ager skin dry he to regularly cold cream ya lotion istamal karain.



Saturday 5 November 2011

Zerda(sweet dish)


















Zerda pakane ka tarika manderja zail he.


Ingredients


Rice                                      1kg
Sugar                                    1kg
Cooking oil                           1/4kg
Clove                                    10adad
Zerde ka rang                        2chamach
Khopra ,badam ,piste            Thoray se
Chandi ke waraq                   3 adad


Tarika

Chawal chun lain mewa jaat bareek kaat lain.Chawal obaal ker aik chani main chaan ker pani nikaal ker rakh lain.Aik patili main cooking oil daal dain jab oil garam hojae to longain daal dain 8minutes baad is main thoray se pani main zerde ka rang ghol ker daal dain aur cheeni aur aik glass pani daal ker sheera bana lain jab cheeni ghul jae to is main boiled chawal daal ker achi terhan chamach chala dain jab pani khushak ho jae to mewa jaat daal ker aik dafa chamach chala ker chawal dam per rakh dain 10minutes baad chola band ker dain .Zerda tayyar he dish main nikaal ker oper se chandi ke waraq laga dain.


Friday 4 November 2011

Azmooda Totkay













Azmoda Totkay manderja zail hain.


Aanton ka sertan(cancer) Khatam karna
Kuch arsa khali pait subha shaam 2 chamach zaiton ka tail istamal kerne se aanton ka cancer theek ho jata he.


Pneumonia theek karna
Namonia ke merz main rozana raat ko sone se pehle 2chamch zaiton ka oil istamal kerne se faeda hota he.


Influenza theek karna
Flu ,nazla aur zukaam ke merz main subha shaam aik chamach olive oil istamal karain.


T.B ,tape dik ka merz khatam karna
Ti bi ke mareez ko doctor ki dawae ke saath saath rozana subha dopeher shaam khali pait 2chamach zaitoon ka tail pee lena chahiye.


Thursday 3 November 2011

Chicken Karahi



















Karahi Gost pakane ka tarika manderja zail he.


Ingredients

Chicken                                     1kg
Cooking oil                                 1/4kg
Pisi hoe laal mirch                       Adha chamach
Namak                                       1chamach
Haldi                                           1/2chamach
Sabut laal mirch kuti hoe             Aik chamch
Saabut garam masala                  1chamch
Piyaz                                          1/4kg
Adrak bareek kati hoe                1chamch                                        
Lehsan pisa hoa                          2chamach
Timater                                       1/4kg
Hari mirch                                    8adad
 Dahi                                           1/4kg


Tarika

Cooking oil main zara si piyaz brown ker ke is main lehsan aur dhula hoa chicken daal ker paanch minutes bhonain.Phir is main dahi, laal mirch, namak ,haldi,adrak aur saabut garam masala daal ker achi terhan bhonain.Ab is main  kati hoe hari mirch, baki piya aur timater kaat ker daal dain aur thori dair bhonain.Lijiye chicken karahi tayyar he naan ke saath nosh fermaen.


Wednesday 2 November 2011

Zaitoon Se ilaaj 2















Zakham theek karna(wounds)
Zakham ko jaldi theek kerne ke liye merham main zaitoon ka tail mila lain.Is terhan zakham jaldi theek ho jae ga.


Mirgi ka maraz
Zaitoon ke oil ki malish se mirgi ke maraz main faeda hota he.


Aanton ke zakham
Rozana nahar moon aur raat ke khane se pehle do chamach zaiton ka tail pine se aanton ke zakham theek ho jatay hain.


Maiday ka sertaan(cancer)
Kuch arsa subha shaam khane se pehle olive oil ke do chamach peene se maiday ka cancer theek ho jata he.


Tuesday 1 November 2011

Chanay Ka Pulao


















Chanay ki biryani ya chanon ka polao bananay ka tarika manderja zail he.


Ingredients


Rice                            1kg
Safaid chanay             1/4kg
Piyaz                           1/4kg
Lehsan                        3 chamach
Adrak                          2chamach
Cooking oil                 1/4kg
Zerday ka rang            1chamach
Namak                         Hasbe zarorat ya dairh chamach
Sabut garam masala     2chamach
Raeta                           Hasbe zarorat
Lehsan ki chatni          Hasbe zarorat

Tarika


Safaid chanay chun ker 12 ghantay pehlay pani main bhigo dain.Piyaz bareek kaat lain,lehsan aur adrak pees lain chawal chun lain.Oil main bareek kati hoe piyaz brown ker lain is main lehsan,adrak,namak, garam masala,daal ker bhon lain phir is main chanay aur 4glass pani daal dain aur halki aanch per pakne dain pandran bees minutes main chany gal jaen ge.Ab is main chawal daal dain aur 4glass pani bhi daal dain aur dermiyani aanch per pakne dain jab pani khushak ho jae to zerde ka rang pani main ghol ker chawal ke oper daal dain aur dam per rakh dain.10minutes baad chola band ker dain.lijie chanon ka polao tayyar he raetay aur lehsan ki chatni ke saath nosh fermaen. Ager zerday ka rang dala jae to ye chanon ki biryani he aur ager na dala jae to ye chanon ka polao he.