Friday, 30 September 2011

Dengue Bhukhar ka ilaaj





Dengue bukhar khatam karna


Dangi ke bukhar main manderja zail hidayaat per amal karnay se faeda hota he aur mareez jald sehatyaab ho jata he.
1..Papitay ke patton ka ras istamal karain.
2..Apple ke juice main lemon ke chand qatray daal ker istamal karain.
3..Anaar(Pomegranate) ka istamal karain .
4..Dosray mosmi phalon ka juice istamal karain.
5..Rozana subha shaam aik aik anda istamal karain.
6..Rozana subha dopeher shaam aik aik glass dood istamal karain.
7..Bukhar ko berhne na dain ager taiz ho jae to pattiyan karain.Her che(6) ghantay baad 2 panadol dain.
8..Bukhar khatam hone ke baad bhi chand dinon tak juices ka istamal kertay rahen.


Dengue aur malaria ka bukhar aik saath bhi ho sakta he .Is tarhaan donon ka aik saath ilaaj mushkil ho jata he aur mot waqea ho jati he. Is liye kuch doctors mashwara de rahe hain ke jin areas main dengue phela hoa he wahaan ke sehat mand loog pehle se malaria ka kors ker lain takay ager dengue hojae to iska aasani se ilaaj ho jae.

Monday, 26 September 2011

Injeer Se ilaaj 2

Treatment By Fig In Urdu
Daant ka Darad
Daant ke dard ke liye injeer ke tree ke dood main roi bhigo ker daant per lagaen to daant ka darad khatam ho jata he.


 High blood pressure
Injeer ko zairay istamal rakhnay se high blood pressure theek rehta he.


Chehray ke daagh
Is ke dood main jo ka aataa goond ker daagh per laganay se daagh dhabay door ho jatay hain.


Bers ke daagh
Injeer ke dood main jo ka aata goond ker laganay se bers ke daagh bhi khatam ho jatay hain.


Jiger aur tilly(liver and spleen)
Injeer ke istamal se jiger aur tilly ko taqat milti he.


Nerkharay ka waram
Bachon ke nerkharay ke waram ke liye injeer ke goday ko sirke aur shakker ke ssath pees ker dayna chahiye.


Chest ke sozish
Injeer ke baqaeda istamal se chhati ki sozish khatam ho jati he.


Suger ka ilaaj
Rozana nahar moon aik dana injeer ka istamal kernay se suger ke merz main kami aati he.



Wednesday, 21 September 2011

Injeer Se ilaaj











Rang nikharna
Rozana nahar moon do danay injeer ke khaliya karain aahista aahista rang nikher jae ga.


Qabaz khatam karna
Is ke liye rozana nahar moon paanch danay injeer ke istamal karain aik haftay main kabaz door ho jae gi.


Gurday fail hona
Kuch arsa tak injeer khae jae to fail hoe gurday bhi theek ho saktay hain


Pittay ki pathri ka ilaaj
Is merz ke liye rozana nahar moon teen danay injeer ke kha liya karain chand maah main gall bladder ke stone khatam ho jaen ge.


Bawaseer ka ilaaj
Is merz ke liye rozana nahar moon teen danay injeer ke kha lain teen maah main bawaseer khatam ho jae ge.


Motapay ka ilaaj
Is ke liye rozana nahar moon teen danay injeer ke kha liya karain do maah main motapa door ho jae ga.


Chechak ka ilaaj
Chechak ke merz main injeer istaml ki jae to jald faeda hota he.


Haiz ki kami ka ilaaj
Ager injeer istamal ki jae to haiz main izafa hota he yani ye kami ka ilaaj he .


Dimaghi imraaz ka ilaaj
Jo ka aata aur injeer mila ker khanay se bohat se dimaghi imraaz main faeda hota he.


Saturday, 17 September 2011

Khajor Se ilaaj 2













Pait ke keeray
Rozana nahar moon das danay khajor ke khanay se chand dinon main pait ke keeray mer jaen ge.


Jadon se hifazat
Ager subha nahar moon saat danay ajwa khajor ke khaliye jaen to shaam tak jado aser na karay ga aur ager sham ko kha li jaen to subha tak jado aser na karay ga.


Zeher se hifazat
Ager subha nahaar moon saat danay ajwa khajor ke kha lain to shaam tak zeher bhi aser na karay ga.


Kolinj ka darad
Khajor ko zairay istamal rakhnay se kolinj nahen hota.


Ishaal(loose motion) door karna
Taza pakki hoe khajor ka pani peenay se ishaal yani dast ruk jatay hain.


Monday, 12 September 2011

Khajor Se ilaaj

Treatment By Dates In Urdu














Kamzori door karna
Is ke liye rozana nahar moon saat danay khajoor ke istamal kiye karain chand haftoon main kamzori door ho jae ge.

Dubla pan door karna
Is ke liye rozana khajor ke saath kakri istamal karain chand haftoon main dubla pan door ho jae ga.

Haiz ki ziadati ka ilaaj
Rozana nahar moon paanch danay khajor ke kha liya karain ye haiz ziyada hone ka ilaaj he.


 Khoon ki kami door karna
Blood ki kami door kernay ke liye rozana nahaar moon saat danay khajor ke kha liya karain.

Ahtiyaat
Khajor aur injeer aik saath istamal na karain.Ankhain dukhnay main khajor na khaen.Kamzori main saat danay se ziyada na khaen.



Thursday, 8 September 2011

Kad Lamba Karna

Chota qad lamba karna
Qad lamba karnay ke liye manderja zail hidayaat per amal karain



 













1..Subha shaam walk kiya karain.

2..Rozana subha dopeher aur shaam ko aik glass milk piya karain.

3..Fresh fruit ka istamal karain.

4..Fresh vegetables ka istamal karain.

5..Khajoor aur bajra ko rozana apni khuraak main shamil karain.

6..Zehni tanao se door rahain aur shehad istamal karain.

7..Butter,cream, paneer,nishasta,gehon aur akhroot ka istamal karain.

8..Halki phulki exercise kiya karain.