Friday 30 September 2011

Dengue Bhukhar ka ilaaj





Dengue bukhar khatam karna


Dangi ke bukhar main manderja zail hidayaat per amal karnay se faeda hota he aur mareez jald sehatyaab ho jata he.
1..Papitay ke patton ka ras istamal karain.
2..Apple ke juice main lemon ke chand qatray daal ker istamal karain.
3..Anaar(Pomegranate) ka istamal karain .
4..Dosray mosmi phalon ka juice istamal karain.
5..Rozana subha shaam aik aik anda istamal karain.
6..Rozana subha dopeher shaam aik aik glass dood istamal karain.
7..Bukhar ko berhne na dain ager taiz ho jae to pattiyan karain.Her che(6) ghantay baad 2 panadol dain.
8..Bukhar khatam hone ke baad bhi chand dinon tak juices ka istamal kertay rahen.


Dengue aur malaria ka bukhar aik saath bhi ho sakta he .Is tarhaan donon ka aik saath ilaaj mushkil ho jata he aur mot waqea ho jati he. Is liye kuch doctors mashwara de rahe hain ke jin areas main dengue phela hoa he wahaan ke sehat mand loog pehle se malaria ka kors ker lain takay ager dengue hojae to iska aasani se ilaaj ho jae.

No comments:

Post a Comment