Monday 26 September 2011

Injeer Se ilaaj 2

Treatment By Fig In Urdu
Daant ka Darad
Daant ke dard ke liye injeer ke tree ke dood main roi bhigo ker daant per lagaen to daant ka darad khatam ho jata he.


 High blood pressure
Injeer ko zairay istamal rakhnay se high blood pressure theek rehta he.


Chehray ke daagh
Is ke dood main jo ka aataa goond ker daagh per laganay se daagh dhabay door ho jatay hain.


Bers ke daagh
Injeer ke dood main jo ka aata goond ker laganay se bers ke daagh bhi khatam ho jatay hain.


Jiger aur tilly(liver and spleen)
Injeer ke istamal se jiger aur tilly ko taqat milti he.


Nerkharay ka waram
Bachon ke nerkharay ke waram ke liye injeer ke goday ko sirke aur shakker ke ssath pees ker dayna chahiye.


Chest ke sozish
Injeer ke baqaeda istamal se chhati ki sozish khatam ho jati he.


Suger ka ilaaj
Rozana nahar moon aik dana injeer ka istamal kernay se suger ke merz main kami aati he.



No comments:

Post a Comment