Monday, 31 October 2011

Olive Oil Se ilaaj
















Treatment By Olive Oil In Urdu
Aankhon ki surkhi khatam karna
Zaitoon ke oil ki salae aankh main lagane se aankhon ki surkhi door ho jati he.

Kaan main pani per jana
Ager kaan main pani chala jae to olive oil ke chand qatray kaan main dalain pani nikal jae ga.


Pathon ka darad door kana
Olive oil ki malish kernay se pathon ka darad khatam ho jata he.


Nasoor khatam karna
Zaitoon ka tail nasoor per lagaen to ye theek ho jata he.


Sunday, 30 October 2011

Kheer


















Kheer bananay ka tarika manderja zail he.


Ingredients

Milk                     1kg
Sugar                    1/4kg
Rice                       Adha pao
Badam                   Thoray se
Pistay                     Thoray se
Narial                     Thoray se
Chandi ke waraq    3adad


Tarika


Dood ko obal lain aur chawal chun ker dho ker dood main daal ker halki aanch per rakh dain .Tamam  mewa jaat ko bareek kaat lain.Jab chalwal gal jaen to achi terhan ghot lain phir is mai cheeni daal dain.25minutes halki aanch per rakh dain aur musalsal chamach chalen.Ab chola band ker dain kheer tayyar he is ko dish main nikaal lain aur  is ke oper mewajaat(dry fruit) daal dain aur chandi ker waraq bhi laga dain.Aur thandi hone ke liye rakh dain ya garam garam nosh fermaen.


Saturday, 29 October 2011

Totkay For Ear In Urdu

















Kaan main pani chala jana
Ager kaan main pani chala jae to ultay paon chalain pani nikal jae ga.

Kaan ka dana ya phinsi khatam karna
Zaiton ke patton ke ras main shehad mila ker kaan main tapkanay se kaan ki phinsi door ho jati he.

Behra pan door karna
Zaiton ke patton ke ras main shehad mila ker kaan main dalne se behre pan main kami aati he.


Kaan ka mail door karna
Zaiton ke patton ke ras main honey mix ker ke kaan main dalne se kaan ka mail bhi khatam ho jata he.


Behte kaan theek karna
Jangli zaiton ke patton ka ras kaan main dalne se kaan ka behna theek ho jata he.


Friday, 28 October 2011

Chicken Korma




















Murgh Qorma bananay ka tarika manderja zail he.



Ingredients

Chicken                          1kg
Cooking oil                     1/4kg
Dahi                                1/4kg
Piyaaz                             1/4kg
Lehsan                            2chamach
Adrak                              2chamach
Sabut garam masala        1chamach
Jaefal                               Zara si
Jawatri                             Zara si
Pisa hoa dhaniya             Dairh chamach
Pisi hoe laal mirch           Dairh chamach
Haldi                                2   chutki
Namak                             1   chamach
Naan aur salad                 Hasbe zarorat


Tarika


Gosht dho lain piyaaz aur adrak bareek kaat lain lehsan pees lain.Aik patili main cooking oil daal ker piyaaz brown ker lain aur nikal lain thandi hone per pees ker rakh lain .Ab is patili main lehsan daal ker gosht daal ker thori dair bhonain phir is main dahi ,pisa hoa dhania,laal mirch ,namak,haldi aur jawatri,jaefal adrak aur sabut garam masala daal dain aur pani chushak hone tak bhonain jab tail masalay se alag ho jae to do teen baar aur chala ker is main pisi hoe brown piyaaz daal ker aik glass pani daal dain jab pakne lagay to halki aanch per 10minutes ke liye dam per rakh dain phir chola band ker dain .Lijiye murgh corma tayyar he naan aur salad  ke saath nosh fermaen.


Wednesday, 26 October 2011

Zaiton Se ilaaj














Treatment By Olives In Urdu


Hassas jild ke imraz(sensitive skin)
Zaiton ke patton ka araq laganay se hassasiyat se hone walay imraz door ho jatay hain.


Danton ke keeray khatam karna
Zaton ka phal or patton ka ras nichor ker pakaen ke shehad ki terhan garha ho jae  is ko daant per lagaen dant ka keera door ho jae ga.


Nails ke imraz door karna
Zaitun ki guthli pees ker cherbi main hal ker lain is ko nakhun per lagane se nakhun ke imraz khatam hojatay hain.


Daant ka darad khatam karna
Zatun ke patton ko sirke main josh dain neem garam hone per kulliyan karain daant ka darad door ho jae ge.


Ziada pasina aana
Zaiton ke patton ko ghot ker laganey se pasinay ki shiddat main kami aati he.


Motia ka ilaaj
Zaitoon ke tail ki salae aankh main laganay se motiya khatam ho jata he.


Monday, 24 October 2011

Chicken Biryani
















Murghe Ki Biryani

Ingredients

Rice                              1kg
Meat                             1kg
Cooking oil                   1/4kg
Garam masala sabut     2 chamach
Namak                          1 chamach
Adrak                            1chamach
Lehsan                            1chamach
Piyaaz                            1/4kg
Dahi                               1/4kg
Zerday ka rang               2chamch
 Dahi                              Raetay ke liye
Lehsan ki chatni            Hasbe zarorat

Tarika

Chawal chun lain gosht dho lain dahi ka raeta bana ker rakh lain.Oil main thori si piyaz brown ker lain.Ab is main adrak, lesan aur piyaz pees ker daal dain aur gosht daal ker thori dair bhonain phir dahi, sabut garam masala aur namak daal dain aur achi tarhaan bhon lain.Phir chawal dho ker daal dain.Aur 6 glass pani daal ker aanch taiz ker dain jab pani khushak ho jae to zerday ka rang pani main ghol ker chawal per daal dain aur dam per rakh dain.15 mint baad chola band ker dain chicken biryani tayar he raetay aur lehsan ki chatni ke saath nosh fermaen.


Friday, 21 October 2011

Totkay For Nails In Urdu
















Nakhun lambay karna
Nakhun lambay kerme ke liye rozana nails per lehsan mala karain.


Nakhun ki kharab rangat theek karna
Bhains ke dood main chand drop lemon ke daal dain phir is main nails dip ker lain nakhun ki rangat theek ho jae ge.


Nakhun ka totkan
Aik tola pisi hoe phitkari main aik lemon ka ras mila lain is paste ko roi ki madad se nails per lagaen chand dinon main nakhun totna band ho jaen ge.


Wednesday, 19 October 2011

Totkay For Lips In Urdu















Honton ki khushki khatam karna
Is maslay ke liye rozana raat ko glasreen lagaya karain.


Honton ki siyahi khatam karna
Chukander baareek kaat lain aur is ko honton per malain.


Motay hont patlay karna
Phitkari bareek pees ker is main arqe gulaab mila lain aur honton per lagaen chand dinon main hont patlay ho jaen ge.


Hont khobsorat karna
Honton ko khobsurat bananay ke liye rozana raat ko dood main zafraan mila ker pi liye karain.


Phatay hont theek karna
Terboz ke kachay beej leker pani ke saath pees lain aur raat ko honton per laip ker lain chand dinon main hont theek ho jaen ge.


Hont gulabi karna
Honton ko gulabi kernay ke liye rozana raat ko sotay waqat honton per zafran laga liye karain.


Monday, 17 October 2011

Facial Ka Tarika
















Gher ka facial
Gher main facial Karnay ka tarika manderja zail he.


Ingredients
Cold cream or lotion
Chanay ka aata  1  chamach
Lemon ras          1  lemon
Badaam              4 adad
Dood                  Thora saa
Mutani matty       1 chamach
Shehad                2 chamach
Zaitoon ka oil      1 chamch


Tarika


1.   Cleansing
Is ke liye gher main mojood kisi bhi cold cream se chehray aur gerdan ka nermi se masaaj karain.Phir tissue paper se chehre aur gardan ko saaf ker lain.Is se tamam mail aur murda khuliyon ka khatma ho jata he.


2.    Facial Masaaj
Aik chamach chanay ka aata, aik adad lemon ka ras,aur chaar badaam ka chora ker ke dood main mix ker ke chehray aur gardan per halkay haathon se masaaj karain .Das minute baad dho lain.


3.     Face Mask
Multani matty aik chamach ,Shehad do chamach aur zaitoon ka oil aik chamch  ko achi terha mix ker ke chehray aur gerden per laga lain.Das minute baad ye mask khushak ho jae ga ab chehray aur gerdan ko dho lain.Mask ke doran batain kernay se perhaiz karain.
Is facial se aap ka chehra nikhra nikhra ,sehat mand,tarotaza aur chamakdaar hojae ga.


Saturday, 15 October 2011

Latifay In Urdu

Aik doctor ne mareez ke pait ka operation kiya to dhaga under reh gaya ,usay nikalnay ke liye operation kiye to kanchi under reh gae dobara koi aur chees under reh gae ,mareez ne kaha ke doctor sahab meray pait main zip laga dain kholne aur band kernay main aasani ho gi.


Aik bachay ko paper main sawal aya ke sabit karain ke zameen gole he ,bachay ne likha enak laga ker dekh lo zameen gole he,teacher ne paper check kerte waqat likha enak laga ker dekh lo zameen gole he.


Friday, 14 October 2011

Rang Gora Karna

Skin whitening,gori rangat, yani chehray aur badan ka rang nikharne ke liye manderja zail hidayat per amal karain.










     
     
     
  1.  Rozana subha shaam aik apple khaya karain.
  2. Raat ko pori neend liya karain.
  3. Halki phulki walk kiya karain.
  4. Fruit aur juices ka istamal karain.
  5. Zehni tention se door rahain.
  6. Akhroot ke tail main kerwe badaam pees ker jild per malnay se rang saaf ho jata he.
  7. Pani main lemon ka ras aur namak mila ker nahanay se skin ka rang nikher jata he.
  8. Do chamach dood main aik chamach pisa hoa namak milaen aur chehray per lagaen chehray per chamack pada hogi.
  9. Pani ziada se ziada pien.


Wednesday, 12 October 2011

Totkay For Skin In Urdu


















Chikni jild theek karna(oily skin)
Haftay main aik baar kelay ke paste main chand qatray lemon ras ke mix ker ke chehray per lagaen aur do ghantay baad dho lain.


Khushak jild theek karna(dry skin)
Is ke liye rozana raat ko sotay waqat glasreen lagaya karain.


Rangat gori karna(skin whitening)
 Is ke liye pisi hoe kalonji 30grams,arqe gulaab
50grams,glasreen50grams,aur lemon ka ras50grams in sab ko mix ker ke lotion sa bana lain aur mehfooz rakhain ye lotion subha shaam chehray per lagaen is se skin ki dosri problems bhi theek ho jaen ge.

Keel,mohasay,kharish,pimples,daad(skin disease)
Tamam jildi imraaz ke liye bari ilaechi ,kalonji aur khushak podina 50 ,50 grams pees ker safoof bana lain ye safoof din main teen baar khanay se pehlay aadha chamach pani ke saath kha liye karain aik maah tak.


Tip
Skin ko healthy rakhnay ke liye pani ziada se ziada piya karain germion main kam azkam aath glass aur serdion main paanch glass.


Monday, 10 October 2011

Totkay For Eye In Urdu













Nazer taiz karna
Sonf aur shaker ko mila ker rozana khanay se benae taiz ho jati he.


Ankhon ki surkhi door karna
Bakri ke dood main roe ka tukra bhigo ker aankhon per rakhnay se aankhon ki surkhi door hojati he.


Palkain lambi karna(long eyelashes)
Dood ko garam kerkay is main falaleen ke kapray ko bhigo ker nichor ke aankhon per rakhain jab kapra thanda ho jae to dobara ye amal dohraen is terhaan chaar baar karain  chand dinon main palkain lambi aur aankhain khobsorat hojaen gi.


Bhawain ghani karna(thick eyebrows)
Rozana sotay waqat bhawon per serson ka tail lagaya karain.


Aankh main palak ya koi zarra per jana
Aik khulay moon ka bertan lain is main pani bher lain is main aakh daal ker kholain aur band karain jo cheez gae he nikal jae ge.


Ankhon ki kharish
Ankhon main do drop arqe gulaab ke daal lain.

Ankhon se pani aana
Is ke liye khalis arqe gulaab aankhon main dalain.


Motya ka ilaaj(cataract)
Ager ibtadai motia main rozana aankhon ko khalis arqe gulaab se dho ker khalis shehad ki aik aik salae aankhon main lagae jae to motia khatam hojata he.

Saturday, 8 October 2011

Totkay For Face In Urdu















Chehray ka Rang gora karna
Taza neem garam dood se chehray ko dhone se rang gora ho jata he.


Chehray ko khobsorat karna
Raat ko sonay se pehle garo ko pani main hal ker ke is main chand drop kalonji ka oil mila ker chehray per mal lain subha neem garam pani se dho lain.


Chehray ke danay khatam karna
Is ke liye kali mirch gharay per ragrain is paste ko rozana chehray per lagaen.


Chehray ke daagh dhabay(nishaan) door karna
Rozana pani main do chammach shehad mix ker ke pi liya karain daagh dhabe door ho jaen ge.


Chehray ka phola pan door karna
Is ke liye rozana khanay ke saath thori si adrak khaliya karain.


Wednesday, 5 October 2011

Totkay For Teeth And Gum In Urdu

















Daant ka darad khatam karna
Ager daant main darad ho to paanch adad clove daanton ke dermiyaan rakh lain aur baar baar jo resha aaye use thooktay jaen daant ka darad door ho jae ga.


Daanton ka mail door karna
Is ke lye namak aag main jala ker bareek pees lain is main chand drops kalonji aur serson ke oil ke mix ker lain aur is ko daanton per malain.


Daanton se khon aana(bleeding gums)
Is maslay ke liye anar ke phole le ker baareek pees lain is main namak mila ker manjan bana lain is ko rozana daanton per lagaen.


 Daant chamkana
Lemon ka ras nikaal ker tooth brush is main dip ker ke rozana  daant saaf karain daant motiyon ki terhan chamaknay lagain ge.


Mass khora
Ye merz us waqat hota he jab ziada waqat pait khali rahe lehaza apnay pait ko baaran ghanton se ziada khali na rakhain.


Daanton ke keeray khatam karna
Chambeli ke pattay pani main boil ker lain is ko nithaar lain aur rozana is neem garam pani se kulli karain daanton ke keeray khatam ho jaen ge.


Daanton ka hilna rokna
Is ke liye serson ki khali ko pani main obaal lain jab neem garam reh jae to is pani se kulliyaan karain.


Masoron ki sojan
Is ke liye kalonji aur clove ka oil aik aik drop mila ker lagaen.


Monday, 3 October 2011

Totkay For Hair In Urdu



Balon ki khushki door karna                         
Baloon ki khush aur sikri khatam karne ke liye haftay main aik dafa do chammach dahi ,aik  chamach serson ka oil aur aik chamach shakker mix ker kay balon ki jaron main lagaen phir aik ghantay baad sirf pani se baal dho ker so jaen subha uth ker shampo se dho lain khushki aur sikri door rahe gi.


Balon ka do mohe hona
Is maslay ke liye her teesray din balon main tail ki malish kiya karain aur khuraak main anday ,dalain ,gosht aur salad istamal karain.


Baal lambay karna(long hair)
Is ke liye aamla ,reetha aur sikakae baraber miqdaar main raat ko bhigo dain aur subha pees ker ser main laga lain do ghantay baad dho lain baal lambay ho jaen ge.


Balon ka girna(Hair falling)
Girtay hoe baalon ko roknay ke liye rozana kalonji ka oil baalon main lagaen.


Baal safaid hona
Is ke liye rozan baalon main zaiton ka oil lagaya karain.


Baalon ka totna
Mehndi ke pattay serson ke tail mian tal lain aur oil thanda hone per nithaar lain is tail ko ser per lagaya karain baal totna band ho jaen ge.


Baal kalay siyah karna
Haftay main do baar aamlay aur bhiron ka safoof raat ko lohe ke bertan main bhigo dain subha is se baal dho lain baal kalay ho jaen ge.